Songs

Tu Hi Zindagi

Tu hi zindagi
Tamanna meri aur koi nahi hai
Tu hi arzoo
Asha meri aur koi nahi hai
Tu jo mil gaya
Ruh ko meri pyas koi nahi hai

Tere naam se langde chale
Tere naam se murde jiye
Tere naam si takat kahi
aur kahi nahi hai

Tu hi zindagi...

Tere naam se milti shifa
Tere naam se hai hum yaha
Tujhe dekh ke aankhein meri
khul ab hi gayi hai

Tu hi zindagi...

Though I Am Saying

Though I am saying, I will make it happen

It will not happen if God has no will for it.


If He is saying "it will not happen for me", 

It will not happen, how much ever I want it. (2)


He knows better what is right for me,

He will give it to me when its right time (2)


Amen, Fir Amen
Psalms 89

Amen, fir Amen
fir Amen, aur Amen (2)


O Khuda, ab meri har prarthna me hai Amen
O Khuda, ab meri har aashish me hai Amen
O Khuda, tu mera hai masih aur prabhu ab Amen
Tu dua hai, aashish aur ibadat Amen
Tu mera hai Khuda aur prabhu aur masih ab Amen
Amen, fir Amen...


O Khuda, hai tu har jagah har kahin ab Amen
O Khuda, tu mera hai bal aur gadh ab Amen
O Khuda, har kahi har jagah tu hai sang ab Amen
Tere sang hi rahu main har pal, har chad, ab Amen
Tu mujhe na chore, na tyage ab Amen
Amen, fir Amen...



Ik Ibadat Kare

Ik Ibadat kare, aur Inayat mile
Aao mil ke kare Khuda se aaj (2)

Dil me hai ik dua, Ek hai aarzo (2)
Kya kahu, kaise kahu
tujhko e khuda
Tujhe sab kuch toh hai pata... (2)

Ik Ibadat kare...

Zindagi ye meri, Chalti hi ja rahi (2)
Kya kiya, kaise kiya 
tujhe sab kuch hai pata
Ye jivan tujhko ab diya... (2)

Ik Ibadat kare...

Tune ye kya kiya, Itna pyar de diya (2)
Kya karu, kaise rakhu
Ise ab apne hi paas
Dena hai tere logo ko aaj... (2)

Ik Ibadat kare...


Khuda Kehta Hai

Khuda kehta hai, tumse pyar hai

Wo ruh kehti hai kya tu taiyar hai

Khuda kehta hai aaj wo din aaya hai 

Main aa raha hun tujhe le jane ko

Kya tu taiyar hai?


Le jane ko tujhko asmaan pe, main aa raha hun badlo pe (2)

Ghar tera jo maine banaya hai, is duniya me nahi wo swarg me hai

Khuda kehta hai aaj wo din aaya hai 

Main aa raha hun tujhe le jane ko

Kya tu taiyar hai?


Chelnege wahi jaha khudavand hai, wo mera yeshu mera charwaha hai (2)

Usi ki bahon me jina hai, uske kadmo me hi mujhe marna hai

Khuda kehta hai aaj wo din aaya hai 

Main aa raha hun tujhe le jane ko

Kya tu taiyar hai?


Khuda kehta hai, tumse pyar hai

Wo ruh kehti hai kya tu taiyar hai

Kya tu taiyar hai? (3)


Bhatki Hui Thi Zindagi

Bhatki hui thi zindagi, khoyi hui thi roshani (2)

Aaya ek masiha, de di ek nayi zindagi (2)


Wo pyar ka ik dariya tha, dene jivan sansar me aaya tha

Wo bhatke hue ho ka sahara tha, dene ko najat wo aaya atha

De di usne jaan apni, dene ko mujho nayi zindagi

Bhatki hui ...


Wo banda mere khuda ka tha, usme aatma mere prabhu ka tha

Wo aaya swarg se dharti par, dene ko mujhe aasmani khushi

Wo hi mera hai masiha, mere dil ki har khushi

Bhatki hui ...


Prabhu Mera Hai Mahan

Prabhu mera hai mahan, hai mahan prabhu mera

Wo itna mahan hai, pyar humse karta hai

Wo itna mahan hai, jaan apni deta hai 

Swargiya aashish undele hai, Swargiya barkat undele hai

Prabhu mera hai mahan, hai mahan prabhu mera


Aakho me mere kabhi aansu jo dekhe wo (2)

Hotho pe mere kaise khushiya la de wo (2)

Wo aisa prabhu kya kabhi kisi ko mila hai (2)

Wo aisa prabhu jo mujhko mila hai (2)

Prabhu mera hai mahan, hai mahan prabhu mera...


Apne pyare bete ko paap mere lene (2)

Bheja usne swarg se rog mere lene ko (2)

Wo aur nahi mangta kuch nahi mangta (2)

Wo rishta ek mangta hai, pyar mere mangta hai (2)

Prabhu mera hai mahan, hai mahan prabhu mera...


Wo Jo Zinda Hai

Wo jo zinda hai wo pyara ishwar

Mujhko mila hai wo parmeshwar 

Sari takat hukumat usiki

Uske kadmo me hai jannat (2)

Uske hathon me meri chhavi hai

Apne hathon se usne lihki hai

Mere jivan ki har ek kahani

Uske hotho se nikli hai (2)


Mere jivan me ab na ghati hogi

Meri har kami usme puri hogi (2)

Phir na honge ansu na koi gami

Mere har ek pal ki hifazat 

Uske pankho tale hogi

Wo jo zinda hai...


Sare ansu unse mere ponche

Mere har ek gam ko mujhse leke (2)

Apne pyare bete ko deke

Mere jivan ki har pareshani

Apne hathon me le li hai

Wo jo zinda hai...


Yeshu aa hi gaya milne (Christmas Song)

Yeshu aa hi gaya milne, hume aaj bade din pe
Wo jo raja hai duniya ka, aur badshah mere dil ka


Wo jo paida hua charni me, aur mara gaya krus pe
Wo jo duniya me aaya tha, khuda ka beta tha
Wo toh ayega ab fir se, le jane ko sath mujhe


Yeshu aa hi gaya milne, hume aaj bade din pe
Wo jo raja hai duniya ka, aur badshah mere dil ka....


Mere liye suli par, jaan dene wo aaya tha
Mere hi liye usne, krus ka dukh bhi saha tha 
Mujhe papon se chutkara, usne hi dilaya hai


Yeshu aa hi gaya milne, hume aaj bade din pe
Wo jo raja hai duniya ka, aur badshah mere dil ka....


Apne bete ko duniya me, khuda ne bheja tha
Hume apni nadani me, ye tab na jana tha 
Wo beta khuda ka hai, masiha wo mera hai


Yeshu aa hi gaya milne, hume aaj bade din pe
Wo jo raja hai duniya ka, aur badshah mere dil ka....


Prabhu Kehta Hai

Prabhu kehta hai, kuch kehta hai
Tumhe kehta hai, mujhe kehta hai

Mere jeevan ki, wo roti hai

Prabhu mera aisa hai
Mujhe sab kuch deta hai
Mujhe changai deta hai
Mujhe khushiya deta hai
Prabhu kehta hai, wo asha hai
Mere jine ki, wo asha hai

Prabhu mera aisa hai
Mere papon ko bhula deta hai
Prabhu unhe maaf karta hai
Mujhe pariksha mein na padene deta hai
Wo kehta hai, wo mata hai
Mera pita hai, mera data hai

Prabhu mera aatma hai
Mujhko ye sharir diya hai
Sharir mera papi hai
Prabhu usko bachata hai
Prabhu var deta mujhe jeene ka 
Mere papon ko khud par leta

Prabhu mera bharosa hai
Mera ek hi sahara hai
Prabhu aisa hai khuda
Use khyal mera hardam rehta hai
Prabhu kehta hai wo sangi hai
Meri rahon mein mera sangi hai
Prabhu kehta hai, wo jeevan hai....

Prabhu kehta hai, wo jeevan hai

Prabhu kehta hai, kuch kehta hai....

Comments

Popular Posts